Aatmhatya
kya koi bhi unhein samjhane wala nahin tha. kya nasha havi tha ya samaj ka vidroh, ya unhein nakamyabi ek samaapt jeevan see lagi. phir jeevan ko jinhone doobhar bana diya tha, ya unhe ye kadam lene par majboor kiya tha unka kya gaya to un bephjool logoen ke liye kyon apna jeevan jo dubara nahi milega, nasht karna.
Agar nirash hain to sochiye kaun sa rasta apna kar us duvidha ko door kar sakte ho jo aapko ye kadam uthane par majboor kar rahi hai. Ek baar nahin hazar bar sochiye, sirf ek din tal deejiye bas ya kewal dus minutes taki aapka dimag chhanik aavesh mein liye gaye nirnay ko sambhal kar dusra option bata sake.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें